aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko jis chiz ki hasrat hai hamin jaante hain

Danish Ejaz

dil ko jis chiz ki hasrat hai hamin jaante hain

Danish Ejaz

MORE BYDanish Ejaz

    dil ko jis chiiz hasrat hai hamīñ jānte haiñ

    vo koī chāñd sūrat hai hamīñ jānte haiñ

    hameñ kis shaḳhs aadat hai tumhī jānte ho

    tumheñ kis shaḳhs aadat hai hamīñ jānte haiñ

    terā hañsnā to qayāmat hai hameñ hai ma.alūm

    terā ronā bhī musībat hai hamīñ jānte haiñ

    yuuñ to da.avā hai mohabbat tumheñ ham se magar

    tumheñ jis jis se mohabbat hai hamīñ jānte haiñ

    yuuñ to āsān rasta hai tumhāre ghar

    tere milne meñ jo mehnat hai hamīñ jānte haiñ

    ġham-e-daurāñ se to begāna hue haiñ 'dānish'

    tere ġham jo ināyat hai hamīñ jānte haiñ

    dil ko jis chiz ki hasrat hai hamin jaante hain

    wo koi chand si surat hai hamin jaante hain

    hamein kis shaKHs ki aadat hai tumhi jaante ho

    tumhein kis shaKHs ki aadat hai hamin jaante hain

    tera hansna to qayamat hai hamein hai malum

    tera rona bhi musibat hai hamin jaante hain

    yun to dawa hai mohabbat ka tumhein hum se magar

    tumhein jis jis se mohabbat hai hamin jaante hain

    yun to aasan sa rasta hai tumhaare ghar ka

    tere milne mein jo mehnat hai hamin jaante hain

    gham-e-dauran se to begana hue hain 'danish'

    tere gham ki jo inayat hai hamin jaante hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now