Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko tera guman sa hota hai

Amritanshu Sharma

dil ko tera guman sa hota hai

Amritanshu Sharma

MORE BYAmritanshu Sharma

    dil ko terā gumāñ hotā hai

    ek jazba javāñ hotā hai

    shab tanhā.iyoñ meñ āñkhoñ se

    ek dariyā ravāñ hotā hai

    dard āftāb Dhalne par

    āsmāñ ḳhūñ-chakāñ hotā hai

    nahīñ hai pa terā ġham merā

    ādatan ham-zabāñ hotā hai

    terī parchhā.iyāñ ubhartī haiñ

    aañkh meñ jab dhuāñ hotā hai

    niiñd aatī hai dasht meñ us dam

    ishq jab sā.ebāñ hotā hai

    to 'amrit' hai phir bhī maut ke vaqt

    kyuuñ bhalā rā.egāñ hotā hai

    dil ko tera guman sa hota hai

    ek jazba jawan sa hota hai

    shab ki tanhaiyon mein aankhon se

    ek dariya rawan sa hota hai

    dard ka aaftab Dhalne par

    aasman KHun-chakan sa hota hai

    tu nahin hai pa tera gham mera

    aadatan ham-zaban sa hota hai

    teri parchhaiyan ubharti hain

    aankh mein jab dhuan sa hota hai

    nind aati hai dasht mein us dam

    ishq jab saeban sa hota hai

    tu to 'amrit' hai phir bhi maut ke waqt

    kyun bhala raegan sa hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now