Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko us shoKH ke kuche mein dhare aate hain

Meer Hasan

dil ko us shoKH ke kuche mein dhare aate hain

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    dil ko us shoḳh ke kūche meñ dhare aate haiñ

    shīsha ḳhālī kiye aur ashk bhare aate haiñ

    sar-kashī dil ne siyah chashm se kyā hai ki jo

    fauj-e-ġhamza bañdhe us pe pare aate haiñ

    dil jo chāhe to bazm meñ us ham to

    dekh us sūrat-e-majlis ko Dare aate haiñ

    kushta-e-zahr-e-ġham-e-hijr nahīñ to 'hasan'

    laḳht-e-dil kyuuñ tire ashkoñ meñ hare aate haiñ

    dil ko us shoKH ke kuche mein dhare aate hain

    shisha KHali kiye aur ashk bhare aate hain

    sar-kashi dil ne siyah chashm se kya ki hai ki jo

    fauj-e-ghamza ki bandhe us pe pare aate hain

    dil jo tu chahe to ja bazm mein us ki hum to

    dekh us surat-e-majlis ko Dare aate hain

    kushta-e-zahr-e-gham-e-hijr nahin tu to 'hasan'

    laKHt-e-dil kyun tere ashkon mein hare aate hain

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 76)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now