dil le chala hai bandh ke dilbar ke ru-ba-ru
dil le chalā hai bāñdh ke dilbar ke rū-ba-rū
jaatā hai ik asiir sitamgar ke rū-ba-rū
us but meñ ik ḳhudā.ī kā jalva hai varna shaiḳh
sajde kiye se fā.eda patthar ke rū-ba-rū
aañsū bahā rahā huuñ ḳhat-e-yār paḌh ke maiñ
yuuñ daana Dāltā huuñ kabūtar ke rū-ba-rū
hāsil huī bhī aql-e-falātūñ agar to kyā
chaltī nahīñ kisī kī muqaddar ke rū-ba-rū
ai 'dāġh' hogā ham se kisī kā javāb kyā
miqdār-e-chashm kyā hai samundar ke rū-ba-rū
dil le chala hai bandh ke dilbar ke ru-ba-ru
jata hai ek asir sitamgar ke ru-ba-ru
us but mein ek KHudai ka jalwa hai warna shaiKH
sajde kiye se faeda patthar ke ru-ba-ru
aansu baha raha hun KHat-e-yar paDh ke main
yun dana Dalta hun kabutar ke ru-ba-ru
hasil hui bhi aql-e-falatun agar to kya
chalti nahin kisi ki muqaddar ke ru-ba-ru
ai 'dagh' hoga hum se kisi ka jawab kya
miqdar-e-chashm kya hai samundar ke ru-ba-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.