Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil liya jis ne bewafai ki

Shefta Mustafa Khan

dil liya jis ne bewafai ki

Shefta Mustafa Khan

MORE BYShefta Mustafa Khan

    dil liyā jis ne bevafā.ī

    rasm hai kyā ye dilrubā.ī

    tazkira sulah-e-ġhair na karo

    baat achchhī nahīñ laḌā.ī

    tum ko andesha-e-giraftārī

    yaañ tavaqqo nahīñ rihā.ī

    vasl meñ kis tarah huuñ shādi-e-marg

    mujh ko tāqat nahīñ judā.ī

    dil na dene ham ko daavā hai

    kis ko hai laaf dilrubā.ī

    ek din tere ghar meñ aanā hai

    baḳht o taal.e ne gar rasā.ī

    dil lagāyā to nāsehoñ ko kyā

    baat jo apne meñ aa.ī

    'sheftā' vo ki jis ne saarī umr

    dīn-dārī o pārsā.ī

    āḳhir-e-kār mai-parast huā

    shaan hai us kibriyā.ī

    dil liya jis ne bewafai ki

    rasm hai kya ye dilrubai ki

    tazkira sulah-e-ghair ka na karo

    baat achchhi nahin laDai ki

    tum ko andesha-e-giraftari

    yan tawaqqo nahin rihai ki

    wasl mein kis tarah hun shadi-e-marg

    mujh ko taqat nahin judai ki

    dil na dene ka hum ko dawa hai

    kis ko hai laf dilrubai ki

    ek din tere ghar mein aana hai

    baKHt o tale ne gar rasai ki

    dil lagaya to nasehon ko kya

    baat jo apne ji mein aai ki

    'shefta' wo ki jis ne sari umr

    din-dari o parsai ki

    aaKHir-e-kar mai-parast hua

    shan hai us ki kibriyai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now