dil mein ashkon ko chhupa kar ro diye
dil meñ ashkoñ ko chhupā kar ro diye
dāstāñ apnī sunā kar ro diye
siskiyoñ ne āsmāñ dahlā diyā
chāñd tāroñ ko jagā kar ro diye
vo na aa.e vā'da kar ke raat kā
sham'-e-dil ham bhī jalā kar ro diye
thī mujhe ummīd un ke aane kī
raat bhar kamra sajā kar ro diye
bar na aa.ī phir se 'maz.har' kī murād
raat saarī haath uThā kar ro diye
dil mein ashkon ko chhupa kar ro diye
dastan apni suna kar ro diye
siskiyon ne aasman dahla diya
chand taron ko jaga kar ro diye
wo na aae wa'da kar ke raat ka
sham'-e-dil hum bhi jala kar ro diye
thi mujhe ummid un ke aane ki
raat bhar kamra saja kar ro diye
bar na aai phir se 'mazhar' ki murad
raat sari hath uTha kar ro diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.