dil mein be-nam si KHushi hai abhi

Ameer Qazalbash

dil mein be-nam si KHushi hai abhi

Ameer Qazalbash

MORE BYAmeer Qazalbash

  dil meñ be-nām ḳhushī hai abhī

  zindagī mere kaam hai abhī

  maiñ bhī tujh se bichhaḌ ke sargardāñ

  terī āñkhoñ meñ bhī namī hai abhī

  dil sunsān rahguzāroñ par

  maiñ ne ik chīḳh sunī hai abhī

  maiñ ne maanā bahut añdherā hai

  phir bhī thoḌī raushnī hai abhī

  apne aañsū 'amīr' kyuuñ poñchhūñ

  in charāġhoñ meñ raushnī hai abhī

  dil mein be-nam si KHushi hai abhi

  zindagi mere kaam ki hai abhi

  main bhi tujh se bichhaD ke sargardan

  teri aankhon mein bhi nami hai abhi

  dil ki sunsan rahguzaron par

  main ne ek chiKH si suni hai abhi

  main ne mana bahut andhera hai

  phir bhi thoDi si raushni hai abhi

  apne aansu 'amir' kyun ponchhun

  in charaghon mein raushni hai abhi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY