Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi

Ahsan Aazmi

dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi

Ahsan Aazmi

MORE BYAhsan Aazmi

    dil meñ īmān to hai jazba-e-īmāñ na sahī

    ham musalmān to haiñ shān-e-musalmāñ na sahī

    rab rahmat sahārā hameñ kaafī hai

    aaj duniyā meñ koī apnā nigahbāñ na sahī

    tiin sau terah ne ye badr meñ paiġhām diyā

    azm-o-īmān hai to jang sāmāñ na sahī

    ham to haiñ aaj bhī taz.īn-e-gulistāñ meñ sharīk

    apne hāthoñ meñ nahīñ nazm-e-gulistāñ na sahī

    aslahoñ mire qātil ko zarūrat kyā hai

    tīr-e-mizhgāñ hai bahut ḳhanjar-o-paikāñ na sahī

    maiñ ne palkoñ pe sajā rakkhe haiñ ashkoñ ke charāġh

    mere TuuTe hue chhappar meñ charāġhāñ na sahī

    māl-o-zar paas nahīñ tosha-e-ulfat ke sivā

    koī sāmān to hai ziist sāmāñ na sahī

    aaj shab kisī bhūke ziyāfat kar de

    ghar meñ tere nahīñ 'ahsan' koī mehmāñ na sahī

    dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi

    hum musalman to hain shan-e-musalman na sahi

    rab ki rahmat ka sahaara hi hamein kafi hai

    aaj duniya mein koi apna nigahban na sahi

    tin sau terah ne ye badr mein paigham diya

    azm-o-iman hai to jang ka saman na sahi

    hum to hain aaj bhi tazin-e-gulistan mein sharik

    apne hathon mein nahin nazm-e-gulistan na sahi

    aslahon ki mere qatil ko zarurat kya hai

    tir-e-mizhgan hai bahut KHanjar-o-paikan na sahi

    main ne palkon pe saja rakkhe hain ashkon ke charagh

    mere TuTe hue chhappar mein charaghan na sahi

    mal-o-zar pas nahin tosha-e-ulfat ke siwa

    koi saman to hai zist ka saman na sahi

    aaj ki shab kisi bhuke ki ziyafat kar de

    ghar mein tere nahin 'ahsan' koi mehman na sahi

    Source:

    Aks-e-Hayat (Pg. 94)

    • Author: Ahsan Aazmi
      • Publisher: Ahsan Aazmi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now