Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein jagi hi nahin thi aarzu pahle kabhi

Sandeep Gupte

dil mein jagi hi nahin thi aarzu pahle kabhi

Sandeep Gupte

MORE BYSandeep Gupte

    dil meñ jaagī nahīñ thī aarzū pahle kabhī

    is tarah miltā kab thā mujh se pahle kabhī

    zindagī batā kaise tujhe pahchāntā

    kahāñ aa.ī thī mere rū-ba-rū pahle kabhī

    bik raheñ haiñ chand sikkoñ ke evaz jism-o-zamīr

    is qadar sastī nahīñ thī aabrū pahle kabhī

    maiñ tumhāre shahr tahzīb se vāqif na thā

    pattharoñ se nahīñ thī guftugū pahle kabhī

    dil mein jagi hi nahin thi aarzu pahle kabhi

    is tarah milta hi kab tha mujh se tu pahle kabhi

    zindagi tu hi bata kaise tujhe pahchanta

    tu kahan aai thi mere ru-ba-ru pahle kabhi

    bik rahen hain chand sikkon ke ewaz jism-o-zamir

    is qadar sasti nahin thi aabru pahle kabhi

    main tumhaare shahr ki tahzib se waqif na tha

    pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now