Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein jab aa ke ishq ne tere mahal kiya

Siraj Aurangabadi

dil mein jab aa ke ishq ne tere mahal kiya

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    dil meñ jab aa ke ishq ne tere mahal kiyā

    sab dast-o-pā-e-aql kuuñ yak pal meñ shal kiyā

    is zulf-e-pur-shikan siiñ sanam khol kar girah

    'āshiq ke dil ke uqda-e-mushkil kuuñ hal kiyā

    sair-e-chaman kuuñ jab ki huā lāla-rū savār

    rāz-o-niyāz-e-bulbul-o-gul meñ ḳhalal kiyā

    iqlīm-e-dil siiñ 'aql ne tab rah-e-gurez

    jab sūba-dār-e-ishq ne aa kar ‘amal kiyā

    majlis meñ 'āshiqoñ jab aayā vo sham'-rū

    mahjūb ho ke sham' ne sūrat badal kiyā

    ai shoḳh-e-sehr-kār har yak bul-fuzūl kuuñ

    tīr-e-nigah ne bismil-e-teġh-e-ajal kiyā

    dekhā hai jab siiñ misra-e-mauzūn o qadd-e-yār

    us din setī 'sirāj' ne fikr-e-ġhazal kiyā

    dil mein jab aa ke ishq ne tere mahal kiya

    sab dast-o-pa-e-aql kun yak pal mein shal kiya

    is zulf-e-pur-shikan sin sanam khol kar girah

    'ashiq ke dil ke uqda-e-mushkil kun hal kiya

    sair-e-chaman kun jab ki hua lala-ru sawar

    raaz-o-niyaz-e-bulbul-o-gul mein KHalal kiya

    iqlim-e-dil sin 'aql ne li tab rah-e-gurez

    jab suba-dar-e-ishq ne aa kar ‘amal kiya

    majlis mein 'ashiqon ki jab aaya wo sham'-ru

    mahjub ho ke sham' ne surat badal kiya

    ai shoKH-e-sehr-kar har yak bul-fuzul kun

    tir-e-nigah ne bismil-e-tegh-e-ajal kiya

    dekha hai jab sin misra-e-mauzun o qadd-e-yar

    us din seti 'siraj' ne fikr-e-ghazal kiya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 343)
    • Author : Siraj Aurangabadi
    • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
    • Edition : 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now