Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya

Akhtar Shirani

dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    dil meñ ḳhayāl-e-nargis-e-jānāna aa gayā

    phūloñ se kheltā huā dīvāna aa gayā

    bādal ke uThte mai o paimāna aa gayā

    bijlī ke saath saath parī-ḳhāna aa gayā

    mastoñ ne is adā se kiyā raqs-e-nau-bahār

    paimāna kyā ki vajd meñ mai-ḳhāna aa gayā

    us chashm-e-mai-farosh tāsīr kyā kahūñ

    hoñToñ tak aaj aap paimāna aa gayā

    mālūm kis ko qais dīvāngī shaan

    hañgāma bapā hai ki dīvāna aa gayā

    'aḳhtar' ġhazab thī ahd-e-javānī dāstāñ

    āñkhoñ ke aage ek parī-ḳhāna aa gayā

    dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya

    phulon se khelta hua diwana aa gaya

    baadal ke uThte hi mai o paimana aa gaya

    bijli ke sath sath pari-KHana aa gaya

    maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahaar

    paimana kya ki wajd mein mai-KHana aa gaya

    us chashm-e-mai-farosh ki tasir kya kahun

    honTon tak aaj aap hi paimana aa gaya

    malum kis ko qais ki diwangi ki shan

    hangama sa bapa hai ki diwana aa gaya

    'aKHtar' ghazab thi ahd-e-jawani ki dastan

    aankhon ke aage ek pari-KHana aa gaya

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now