Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein KHayal-e-yar hai jasus ki namat

Mirza Daood Beg

dil mein KHayal-e-yar hai jasus ki namat

Mirza Daood Beg

MORE BYMirza Daood Beg

    dil meñ ḳhayāl-e-yār hai jāsūs namat

    rakhtā huuñ is kuuñ nañg suuñ nāmūs namat

    vīrāñ hai siina bas-ki tire baaj ai sanam

    fariyād-e-dil hai naġhma-e-nāqūs namat

    us rashk-e-mahr paas pahuñchne shauq hai

    is vāste añjhūñ haiñ mire uus namat

    is fasl-e-nau-bahār meñ be-bāda-e-ġhurūr

    har bul-havas hai rañg meñ tā.ūs namat

    us sham.a-rū ke ishq meñ 'dā.ūd' gal sakal

    tan ho rahā hai parda-e-fānūs namat

    dil mein KHayal-e-yar hai jasus ki namat

    rakhta hun is kun nang sun namus ki namat

    viran hai sina bas-ki tere baj ai sanam

    fariyaad-e-dil hai naghma-e-naqus ki namat

    us rashk-e-mahr pas pahunchne ka shauq hai

    is waste anjhun hain mere us ki namat

    is fasl-e-nau-bahaar mein be-baada-e-ghurur

    har bul-hawas hai rang mein taus ki namat

    us shama-ru ke ishq mein 'daud' gal sakal

    tan ho raha hai parda-e-fanus ki namat

    Source:

    Deewan-e-Daud Aurangabadi (Pg. ebook-43 page-42)

      • Edition: 1958
      • Publisher: National Fine Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1958
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now