Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai

Rajinder Manchanda Bani

dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    dil meñ ḳhushbū utar jaatī hai siine meñ nuur Dhal jaatā hai

    ḳhvāb ik dekh rahā hotā huuñ phir ye manzar bhī badal jaatā hai

    chāhtā huuñ ki maiñ uTh kar dekhūñ chhat se ākāsh manzar dekhūñ

    abhī chhat tak pahuñchtī hai aañkh paañv ziine se phisal jaatā hai

    ḳhvāb gum-shuda ta.abīr huuñ maiñ ik ajab zabt tasvīr huuñ maiñ

    phir bhī in barf āñkhoñ meñ kabhī koī ġham hai ki pighal jaatā hai

    ik dhuāñ jo na bikharne de mujhe ḳhaak meñ bhī na utarne de mujhe

    jab siyāhī taraf baḌhtā huuñ ik diyā kahīñ jal jaatā hai

    raah chaltā huuñ irādoñ ke saath shauq ke saath murādoñ ke saath

    paañv hote haiñ qarīb-e-manzil vaqt hāthoñ se nikal jaatā hai

    dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai

    KHwab ek dekh raha hota hun phir ye manzar bhi badal jata hai

    chahta hun ki main uTh kar dekhun chhat se aakash ka manzar dekhun

    abhi chhat tak hi pahunchti hai aankh panw zine se phisal jata hai

    KHwab ki gum-shuda tabir hun main ek ajab zabt ki taswir hun main

    phir bhi in barf si aankhon mein kabhi koi gham hai ki pighal jata hai

    ek dhuan jo na bikharne de mujhe KHak mein bhi na utarne de mujhe

    jab siyahi ki taraf baDhta hun ek diya sa kahin jal jata hai

    rah chalta hun iradon ke sath shauq ke sath muradon ke sath

    panw hote hain qarib-e-manzil waqt hathon se nikal jata hai

    Source:

    Kulliyat-e-bani (Pg. 165)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now