Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

Hasrat Mohani

dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    dil meñ kyā kyā havas-e-dīd baḌhā.ī na ga.ī

    rū-ba-rū un ke magar aañkh uThā.ī na ga.ī

    ham razā-sheva haiñ tāvīl-e-sitam ḳhud kar leñ

    kyā huā un se agar baat banā.ī na ga.ī

    ye bhī ādāb-e-mohabbat ne gavārā na kiyā

    un tasvīr bhī āñkhoñ se lagā.ī na ga.ī

    aah vo aañkh jo har samt rahī sā.iqa-pāsh

    vo jo mujh se kisī unvān milā.ī na ga.ī

    ham se pūchhā na gayā nām-o-nishāñ bhī un

    justujū koī tamhīd uThā.ī na ga.ī

    dil ko thā hausla-e-arz-e-tamannā so unheñ

    sarguzisht-e-shab-e-hijrāñ bhī sunā.ī na ga.ī

    ġham-e-dūrī ne kashākash to bahut lekin

    yaad un dil-e-'hasrat' se bhulā.ī na ga.ī

    dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai

    ru-ba-ru un ke magar aankh uThai na gai

    hum raza-shewa hain tawil-e-sitam KHud kar len

    kya hua un se agar baat banai na gai

    ye bhi aadab-e-mohabbat ne gawara na kiya

    un ki taswir bhi aankhon se lagai na gai

    aah wo aankh jo har samt rahi saiqa-pash

    wo jo mujh se kisi unwan milai na gai

    hum se puchha na gaya nam-o-nishan bhi un ka

    justuju ki koi tamhid uThai na gai

    dil ko tha hausla-e-arz-e-tamanna so unhen

    sarguzisht-e-shab-e-hijran bhi sunai na gai

    gham-e-duri ne kashakash to bahut ki lekin

    yaad un ki dil-e-'hasrat' se bhulai na gai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now