Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein pahle to khaTakta na tha arman koi

Safdar Mirzapuri

dil mein pahle to khaTakta na tha arman koi

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    dil meñ pahle to khaTaktā na thā armāñ koī

    rah gayā TuuT ke shāyad tirā paikāñ koī

    aa.e aa.e ruḳh-e-raushan ko chhupā.e aa.e

    aa.e bikhrā.e hue zulf-e-pareshāñ koī

    vo ye kahte haiñ mirī jaan rahe na rahe

    vasl raat hai rah jaa.e na armāñ koī

    dil rahā siine meñ jab tak rahī marne duā

    ab ye ronā hai nahīñ ziist sāmāñ koī

    so.e jab qabr meñ ārām se tab ham samjhe

    zindagī thī ki ye thā ḳhvāb-e-pareshāñ koī

    lauT jaatī hai vahīñ paañv pe aa kar bijlī

    chalte chalte jo uThā letā hai dāmāñ koī

    ye to maiñ kah nahīñ saktā ki vo dushman hogā

    un mahfil se uThā ho ke pashemāñ koī

    jis tarah ġham-zada 'safdar' janāza niklā

    yuuñ bhī niklā thā kabhī ġhair armāñ koī

    dil mein pahle to khaTakta na tha arman koi

    rah gaya TuT ke shayad tera paikan koi

    aae aae ruKH-e-raushan ko chhupae aae

    aae bikhrae hue zulf-e-pareshan koi

    wo ye kahte hain meri jaan rahe ya na rahe

    wasl ki raat hai rah jae na arman koi

    dil raha sine mein jab tak rahi marne ki dua

    ab ye rona hai nahin zist ka saman koi

    soe jab qabr mein aaram se tab hum samjhe

    zindagi thi ki ye tha KHwab-e-pareshan koi

    lauT jati hai wahin panw pe aa kar bijli

    chalte chalte jo uTha leta hai daman koi

    ye to main kah nahin sakta ki wo dushman hoga

    un ki mahfil se uTha ho ke pasheman koi

    jis tarah gham-zada 'safdar' ka janaza nikla

    yun bhi nikla tha kabhi ghair ka arman koi

    Source:

    Deewan-e-Safdar Mirzapuri (Pg. 239)

    • Author: Safdar Mirzapuri
      • Publisher: Azhar Lakhnawi
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now