Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein paida hui bala ki KHalish

Syed Masood Hasan Masood

dil mein paida hui bala ki KHalish

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    dil meñ paidā huī balā ḳhalish

    uf tire nāvak-e-adā ḳhalish

    kuchh dil-e-dard-āshnā ḳhalish

    kuchh tire nāvak-e-jafā ḳhalish

    donoñ bāteñ jo ho ga.iiñ bāham

    dil meñ paidā huī balā ḳhalish

    maut ne dil ko ik sukūñ baḳhshā

    muddatoñ tak rahī davā ḳhalish

    dil meñ nāsūr paḌ ga.e lākhoñ

    aah ye āh-e-nā-rasā ḳhalish

    ḳhanjar-o-tīr se sivā paa.ī

    ishva-o-ġhamza-o-adā ḳhalish

    zabt ko mere sabr ko mere

    āzmāne lagī vafā ḳhalish

    maraz-e-ishq ke marīzoñ ko

    maar Dālegī ye shifā ḳhalish

    na milegā kahīñ nishāñ apnā

    gar yahī hai tirī jafā ḳhalish

    dekheñ anjām ishq kyā ho

    ibtidā meñ hai intihā ḳhalish

    ho ga.ī dam ke baad ruḳhsat ziist

    dekh saktī na thī qazā ḳhalish

    rag-e-jāñ kaT ga.ī magar 'mas.ūd'

    na ga.ī teġh-āzmā ḳhalish

    dil mein paida hui bala ki KHalish

    uf tere nawak-e-ada ki KHalish

    kuchh dil-e-dard-ashna ki KHalish

    kuchh tere nawak-e-jafa ki KHalish

    donon baaten jo ho gain baham

    dil mein paida hui bala ki KHalish

    maut ne dil ko ek sukun baKHsha

    muddaton tak rahi dawa ki KHalish

    dil mein nasur paD gae lakhon

    aah ye aah-e-na-rasa ki KHalish

    KHanjar-o-tir se siwa pai

    ishwa-o-ghamza-o-ada ki KHalish

    zabt ko mere sabr ko mere

    aazmane lagi wafa ki KHalish

    maraz-e-ishq ke marizon ko

    mar Dalegi ye shifa ki KHalish

    na milega kahin nishan apna

    gar yahi hai teri jafa ki KHalish

    dekhen anjam ishq ka kya ho

    ibtida mein hai intiha ki KHalish

    ho gai dam ke baad ruKHsat zist

    dekh sakti na thi qaza ki KHalish

    rag-e-jaan kaT gai magar 'masud'

    na gai tegh-azma ki KHalish

    Source:

    Bagh-e-Dilkash (Pg. 135)

    • Author: Syed Masood Hasan Masood
      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now