Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho

Shahbaz Rizvi

dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho

Shahbaz Rizvi

MORE BYShahbaz Rizvi

    dil meñ paivast kisī gul nishānī dekho

    aao jangal taraf raat raanī dekho

    merī āñkhoñ ko mayassar nahīñ sukh ke aañsū

    ye jo paanī hai zarā is ravānī dekho

    tum agar dekh chuke ho mirī āñkhoñ sarāb

    aao ab aa ke isī dasht paanī dekho

    itnā pyāsā hai ki sāhil pe zabāñ phertā hai

    tum samundar kabhī tishna-dahānī dekho

    ek pal meñ tumheñ duniyā samajh aa jā.egī

    is kahānī se alag ho ke kahānī dekho

    misra'a-e-maut lagāte haiñ sab is par 'shahbāz'

    zindagī ke liye tum dūsrā saanī dekho

    dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho

    aao jangal ki taraf raat ki rani dekho

    meri aankhon ko mayassar nahin sukh ke aansu

    ye jo pani hai zara is ki rawani dekho

    tum agar dekh chuke ho meri aankhon ka sarab

    aao ab aa ke isi dasht ka pani dekho

    itna pyasa hai ki sahil pe zaban pherta hai

    tum samundar ki kabhi tishna-dahani dekho

    ek pal mein tumhein duniya samajh aa jaegi

    is kahani se alag ho ke kahani dekho

    misra'a-e-maut lagate hain sab is par 'shahbaz'

    zindagi ke liye tum dusra sani dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now