Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein ruhani KHayalon ka safar jari raha

Akhgar Panipati

dil mein ruhani KHayalon ka safar jari raha

Akhgar Panipati

MORE BYAkhgar Panipati

    dil meñ rūhānī ḳhayāloñ safar jaarī rahā

    tīrgī meñ bhī ujāloñ safar jaarī rahā

    hādsoñ ne hausloñ ko bārhā rokā magar

    phir bhī tere kuchh jiyāloñ safar jaarī rahā

    ham thakan se chuur the karvaT badal kar so ga.e

    niiñd meñ lekin ḳhayāloñ safar jaarī rahā

    vaqt ke har daur se lete rahe haiñ jo ḳhirāj

    aise bhī kuchh bā-kamāloñ safar jaarī rahā

    be-hisī ke pattharoñ ko toḌne ke vāste

    zindagī tere havāloñ safar jaarī rahā

    nekiyoñ ke rāste mahdūd the masdūd the

    phir bhī 'aḳhgar' ḳhush-ḳhisāloñ safar jaarī rahā

    dil mein ruhani KHayalon ka safar jari raha

    tirgi mein bhi ujalon ka safar jari raha

    hadson ne hauslon ko barha roka magar

    phir bhi tere kuchh jiyalon ka safar jari raha

    hum thakan se chur the karwaT badal kar so gae

    nind mein lekin KHayalon ka safar jari raha

    waqt ke har daur se lete rahe hain jo KHiraj

    aise bhi kuchh ba-kamalon ka safar jari raha

    be-hisi ke pattharon ko toDne ke waste

    zindagi tere hawalon ka safar jari raha

    nekiyon ke raste mahdud the masdud the

    phir bhi 'aKHgar' KHush-KHisalon ka safar jari raha

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 69)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now