dil mein teri aawaz ka tara phirta hai
dil meñ tirī āvāz kā taarā phirtā hai
is nagrī meñ ik banjārā phirtā hai
tujh ko palaT ke dekhnā bhī ab bas meñ nahīñ
saath liye ye vaqt kā dhārā phirtā hai
koī nahīñ ḳhālī darvāze chīḳhte haiñ
har dar se ik dard kā maarā phirtā hai
kaTte haiñ apne hī qadam us kūche meñ
ham hī na jaa.eñ shahr to saarā phirtā hai
haa.e ye terā dhyān ġham-e-daurāñ meñ ghirā
biich bhañvar meñ koī kinārā phirtā hai
jaane kaisā rog lagā hai 'musavvir' ko
raat meñ tanhā maarā maarā phirtā hai
dil mein teri aawaz ka tara phirta hai
is nagri mein ek banjara phirta hai
tujh ko palaT ke dekhna bhi ab bas mein nahin
sath liye ye waqt ka dhaara phirta hai
koi nahin KHali darwaze chiKHte hain
har dar se ek dard ka mara phirta hai
kaTte hain apne hi qadam us kuche mein
hum hi na jaen shahr to sara phirta hai
hae ye tera dhyan gham-e-dauran mein ghira
bich bhanwar mein koi kinara phirta hai
jaane kaisa rog laga hai 'musawwir' ko
raat mein tanha mara mara phirta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.