Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein us but ke pyar kis ka hai

Hassamuddin Haider Nami

dil mein us but ke pyar kis ka hai

Hassamuddin Haider Nami

MORE BYHassamuddin Haider Nami

    dil meñ us but ke pyaar kis hai

    bevafā hai vo yaar kis hai

    ham jatāte haiñ e'timād apnā

    par use e.atibār kis hai

    sach batāo mujhe tum ai āñkho

    aaj ye intizār kis hai

    mujh ko kahte ho bad-mizāj hai

    ruuTh jaanā shi.ār kis hai

    rashk aatā hai mujh ko laala par

    ye dil-e-dāġh-dār kis hai

    bhuul baiThe ho kuchh pahan ke ise

    sach batāo ye haar kis hai

    kah andalīb dāġhoñ se

    siina bāġh-o-bahār kis hai

    dekh aa ke ai shikār-andāz

    tiir ye dil ke paar kis hai

    mar gayā kaun tere kūche meñ

    yaañ ye taaza mazār kis hai

    'nāmī' jaatī hai har qadam par jaan

    aah ye rahguzār kis hai

    dil mein us but ke pyar kis ka hai

    bewafa hai wo yar kis ka hai

    hum jatate hain e'timad apna

    par use eatibar kis ka hai

    sach batao mujhe tum ai aankho

    aaj ye intizar kis ka hai

    mujh ko kahte ho bad-mizaj hai tu

    ruTh jaana shiar kis ka hai

    rashk aata hai mujh ko lala par

    ye dil-e-dagh-dar kis ka hai

    bhul baiThe ho kuchh pahan ke ise

    sach batao ye haar kis ka hai

    tu hi kah andalib daghon se

    sina bagh-o-bahaar kis ka hai

    dekh tu aa ke ai shikar-andaz

    tir ye dil ke par kis ka hai

    mar gaya kaun tere kuche mein

    yan ye taza mazar kis ka hai

    'nami' jati hai har qadam par jaan

    aah ye rahguzar kis ka hai

    Source:

    Deewan-e-Naami (Pg. 182)

    • Author: Hassamuddin Haider Nami
      • Publisher: Maktaba Adabistan, Srinagar Kashmir
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now