dil mein wo aan base yun ki nikale na gae
dil meñ vo aan base yuuñ ki nikāle na ga.e
ham se jazbāt mohabbat meñ sañbhāle na ga.e
lamhe bhar ko nazar aa.e the magar aaj talak
ruuh sarshār hai āñkhoñ ke ujāle na ga.e
yuuñ mo'attar huā ehsās ki ik 'umr huī
merī tahrīr se ḳhushbū ke havāle na ga.e
kis qadar dil pe girāñ hote haiñ pūchhe na koī
aise ehsās jo alfāz meñ Dhāle na ga.e
dil mein wo aan base yun ki nikale na gae
hum se jazbaat mohabbat mein sanbhaale na gae
lamhe bhar ko nazar aae the magar aaj talak
ruh sarshaar hai aankhon ke ujale na gae
yun mo'attar hua ehsas ki ek 'umr hui
meri tahrir se KHushbu ke hawale na gae
kis qadar dil pe giran hote hain puchhe na koi
aise ehsas jo alfaz mein Dhaale na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.