Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka

Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar

dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka

Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar

MORE BYMunshi Mohammad Hayat Khan Mazhar

    dil merā said siine meñ hai zulf-e-yār

    hai bul-ajab haram meñ tarīqa shikār

    aisī sharar-fishāñ hai mirī āh-e-pur-sharar

    jis tarah chhūTne meñ ho aalam anaar

    zill-e-karam meñ tere tamāzat zikr kyā

    hai mehr par gumāñ shajar-e-sāya-dār

    lahrā rahī hai ruḳh pe tire mauj-3xḳhatt-e-sabz

    tuutī ko aa.ine meñ hai jalva bahār

    dāġh-e-jigar kiyā hai atā mujh ko ishq ne

    sikka kuchh alag hai mire shahr-yār

    ruḳh par tumhāre ḳhaal jo dekhā qarīb-e-zulf

    mujh ko gumān us pe huā chashm-e-mār

    vo aa.eñ mere ghar to maiñ āñkhoñ meñ duuñ jagah

    dekheñ vo lutf aañkh se abr-e-bahār

    nazzāra-e-sanam in āñkhoñ ko shauq hai

    kartī haiñ kaam qabr meñ bhī hoshiyār

    bulbul na kyoñ asīr-e-mohabbat chaman meñ ho

    daam us ke paañv meñ hai rag-e-gul ke taar

    saude meñ zulf-e-yār ke jaarī haiñ tifl-e-ashk

    goyā ravāñ hai qāfila chīn-o-tatār

    vo mast-e-jām-e-ishq huuñ 'maz.har' ki hashr tak

    mumkin nahīñ ki daḳhl ho is meñ ḳhumār

    dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka

    hai bul-ajab haram mein tariqa shikar ka

    aisi sharar-fishan hai meri aah-e-pur-sharar

    jis tarah chhuTne mein ho aalam anar ka

    zill-e-karam mein tere tamazat ka zikr kya

    hai mehr par guman shajar-e-saya-dar ka

    lahra rahi hai ruKH pe tere mauj-3xKHatt-e-sabz

    tuti ko aaine mein hai jalwa bahaar ka

    dagh-e-jigar kiya hai ata mujh ko ishq ne

    sikka hi kuchh alag hai mere shahr-yar ka

    ruKH par tumhaare KHal jo dekha qarib-e-zulf

    mujh ko guman us pe hua chashm-e-mar ka

    wo aaen mere ghar to main aankhon mein dun jagah

    dekhen wo lutf aankh se abr-e-bahaar ka

    nazzara-e-sanam ka in aankhon ko shauq hai

    karti hain kaam qabr mein bhi hoshiyar ka

    bulbul na kyon asir-e-mohabbat chaman mein ho

    dam us ke panw mein hai rag-e-gul ke tar ka

    saude mein zulf-e-yar ke jari hain tifl-e-ashk

    goya rawan hai qafila chin-o-tatar ka

    wo mast-e-jam-e-ishq hun 'mazhar' ki hashr tak

    mumkin nahin ki daKHl ho is mein KHumar ka

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 29)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now