dil mera saghar-e-shikayat hai
dil mirā sāġhar-e-shikāyat hai
zahr-e-ġham bas ki be-nihāyat hai
vo bhaveñ mujh pe kyuuñ na zulm kareñ
chashm-e-ḳhūñ-rez kī himāyat hai
dev mujh laakh daam kī jāgīr
zulf kholo baḌī ri'āyat hai
naqd-e-dīdār bul-havas kuuñ na dev
is meñ sarkār kī kifāyat hai
be-gunāhoñ kuuñ qatl karne par
muftī-e-nāz kī rivāyat hai
haikal-e-laḳht-e-dil meñ harf-e-vafā
murshid-e-ishq kī 'ināyat hai
sham'-rū sun bayān-e-soz-e-'sirāj'
ki 'ajab dard kī hikāyat hai
dil mera saghar-e-shikayat hai
zahr-e-gham bas ki be-nihayat hai
wo bhawen mujh pe kyun na zulm karen
chashm-e-KHun-rez ki himayat hai
dew mujh lakh dam ki jagir
zulf kholo baDi ri'ayat hai
naqd-e-didar bul-hawas kun na dew
is mein sarkar ki kifayat hai
be-gunahon kun qatl karne par
mufti-e-naz ki riwayat hai
haikal-e-laKHt-e-dil mein harf-e-wafa
murshid-e-ishq ki 'inayat hai
sham'-ru sun bayan-e-soz-e-'siraj'
ki 'ajab dard ki hikayat hai
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 578)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.