Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya

Mirza Ghalib

dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    dil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayā

    ātish-e-ḳhāmosh mānind goyā jal gayā

    in passion's hidden heat my heart, did choose to bravely burn

    like fire silent and unseen, to ashes it did turn

    dil meñ zauq-e-vasl o yād-e-yār tak baaqī nahīñ

    aag is ghar meñ lagī aisī ki jo thā jal gayā

    neither the yen for union nor her thoughts this heart retained

    for such a blaze consumed this house, burnt all that it contained

    maiñ adam se bhī pare huuñ varna ġhāfil bār-hā

    merī āh-e-ātishīñ se bāl-e-anqā jal gayā

    Ye ignorant! beyond the state of nothingness I've turned

    else by my fiery sighs the feathers of the phoenix burned

    arz kiije jauhar-e-andesha garmī kahāñ

    kuchh ḳhayāl aayā thā vahshat ki sahrā jal gayā

    my flaming intensity of thought to whom can I narrate

    just thinking of the desert caused, it to incinerate

    dil nahīñ tujh ko dikhātā varna dāġhoñ bahār

    is charāġhāñ karūñ kyā kār-farmā jal gayā

    my heart's no more, my burning scars, else I would show to you

    the lamp itself is charred now with , these lights what do I do

    maiñ huuñ aur afsurdagī aarzū 'ġhālib' ki dil

    dekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā

    now I exist alone just with hope of melancholy

    because my heart is seared by people's insincerity

    ḳhānmān-e-āshiqāñ dūkān-e-ātish-bāz hai

    sho.ala-rū jab ho ga.e garm-e-tamāshā jal gayā

    kujā afsos-e-garmī-hā-e-sohbat ai ḳhayāl

    dil ba-soz-e-ātish-e-dāġh-e-tamannā jal gayā

    hai 'asad' begāna-e-afsurdagī ai bekasī

    dil z-andāz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā

    duud merā sumbulistāñ se kare hai ham-sarī

    bas-ki shauq-e-ātish-e-gul se sarāpā jal gayā

    sham.a-rūyāñ sar-añgusht-e-hinā.ī dekh kar

    ġhuncha-e-gul par-fishāñ parvāna-āsā jal gayā

    dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya

    aatish-e-KHamosh ki manind goya jal gaya

    in passion's hidden heat my heart, did choose to bravely burn

    like fire silent and unseen, to ashes it did turn

    dil mein zauq-e-wasl o yaad-e-yar tak baqi nahin

    aag is ghar mein lagi aisi ki jo tha jal gaya

    neither the yen for union nor her thoughts this heart retained

    for such a blaze consumed this house, burnt all that it contained

    main adam se bhi pare hun warna ghafil bar-ha

    meri aah-e-atishin se baal-e-anqa jal gaya

    Ye ignorant! beyond the state of nothingness I've turned

    else by my fiery sighs the feathers of the phoenix burned

    arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan

    kuchh KHayal aaya tha wahshat ka ki sahra jal gaya

    my flaming intensity of thought to whom can I narrate

    just thinking of the desert caused, it to incinerate

    dil nahin tujh ko dikhata warna daghon ki bahaar

    is charaghan ka karun kya kar-farma jal gaya

    my heart's no more, my burning scars, else I would show to you

    the lamp itself is charred now with , these lights what do I do

    main hun aur afsurdagi ki aarzu 'ghaalib' ki dil

    dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

    now I exist alone just with hope of melancholy

    because my heart is seared by people's insincerity

    KHanman-e-ashiqan dukan-e-atish-baz hai

    shoala-ru jab ho gae garm-e-tamasha jal gaya

    ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai KHayal

    dil ba-soz-e-atish-e-dagh-e-tamanna jal gaya

    hai 'asad' begana-e-afsurdagi ai bekasi

    dil z-andaz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

    dud mera sumbulistan se kare hai ham-sari

    bas-ki shauq-e-atish-e-gul se sarapa jal gaya

    shama-ruyan ki sar-angusht-e-hinai dekh kar

    ghuncha-e-gul par-fishan parwana-asa jal gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sumbul Raja

    Sumbul Raja

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Fasih Akmal

    dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya Fasih Akmal

    Javed Naseem

    dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya Javed Naseem

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 168)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now