Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha

Dagh Dehlvi

dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    dil mubtalā-e-lazzat-e-āzār rahā

    marnā firāq-e-yār meñ dushvār rahā

    har dam ye shauq thā use qurbān kījiye

    maiñ vasl meñ bhī jaan se be-zār rahā

    ehsān-e-afv-e-jurm se vo sharmsār huuñ

    baḳhshā gayā maiñ to bhī gunahgār rahā

    hotī haiñ har tarah se mirī pāsdāriyāñ

    dushman ke paas bhī vo mirā yaar rahā

    din pahluoñ se Taal diyā kuchh na kah sake

    har chand un ko vasl inkār rahā

    zāhid tauba tauba rahī ghūñT ghūñT par

    sau botaleñ uḌā ke bhī hushyār rahā

    dekhīñ hazār rashk-e-masīhā sūrateñ

    achchhā rahā jo ishq bīmār rahā

    sadqe meñ tum ne chhoḌ diye haiñ bahut asiir

    maiñ bhī rihā huā ki giraftār rahā

    lazzat vafā meñ hai na kisī jafā meñ hai

    dildār rahā na dil-āzār rahā

    jalve ke baad vasl ḳhvāhish zarūr thī

    vo kyā rahā jo āshiq-e-dīdār rahā

    kahte haiñ jal ke ġhair mohabbat se 'dāġh'

    māshūq us ke paas vafādār rahā

    dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha

    marna firaq-e-yar mein dushwar hi raha

    har dam ye shauq tha use qurban kijiye

    main wasl mein bhi jaan se be-zar hi raha

    ehsan-e-afw-e-jurm se wo sharmsar hun

    baKHsha gaya main to bhi gunahgar hi raha

    hoti hain har tarah se meri pasdariyan

    dushman ke pas bhi wo mera yar hi raha

    din pahluon se Tal diya kuchh na kah sake

    har chand un ko wasl ka inkar hi raha

    zahid ki tauba tauba rahi ghunT ghunT par

    sau botalen uDa ke bhi hushyar hi raha

    dekhin hazar rashk-e-masiha ki suraten

    achchha raha jo ishq ka bimar hi raha

    sadqe mein tum ne chhoD diye hain bahut asir

    main bhi riha hua ki giraftar hi raha

    lazzat wafa mein hai na kisi ki jafa mein hai

    dildar hi raha na dil-azar hi raha

    jalwe ke baad wasl ki KHwahish zarur thi

    wo kya raha jo aashiq-e-didar hi raha

    kahte hain jal ke ghair mohabbat se 'dagh' ki

    mashuq us ke pas wafadar hi raha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now