Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mukaddar hai aaina-ru ka

Arzoo Lakhnavi

dil mukaddar hai aaina-ru ka

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    dil mukaddar hai ā.īna-rū

    na milā rañg se patā

    hai dam-e-sub.h vo ḳhumārīñ aañkh

    ek TuuTā tilism jaadū

    kam jo Thahre jafā se merī vafā

    to ye pasañg hai tarāzū

    dil bechainiyāñ ḳhudā panāh

    takiya haT haT gayā hai pahlū

    kahīñ jaatī bahār ruktī hai

    dāman aayā na haath meñ

    hai na.ī qaid ab ye āzādī

    zor TuuTā huā hai baazū

    āñdhī aahoñ sail ashkoñ

    ab nahīñ koī apne qaabū

    qahqaha bhartī hai surāhī kyā

    zarf ḳhum se sivā hai chullū

    sotī qismat niiñd uḌāvegā

    narm takiya kisī ke zaanū

    ishq-bāzī hai jaan jokham

    vahīñ maarā paḌā jahāñ chūkā

    'ārzū' dil hai vaqf-e-bīm-o-umīd

    jhilmilātā charāġh jugnū

    dil mukaddar hai aaina-ru ka

    na mila rang se pata bu ka

    hai dam-e-subh wo KHumarin aankh

    ek TuTa tilism jadu ka

    kam jo Thahre jafa se meri wafa

    to ye pasang hai taraazu ka

    dil ki bechainiyan KHuda ki panah

    takiya haT haT gaya hai pahlu ka

    kahin jati bahaar rukti hai

    daman aaya na hath mein bu ka

    hai nai qaid ab ye aazadi

    zor TuTa hua hai bazu ka

    aandhi aahon ki sail ashkon ki

    ab nahin koi apne qabu ka

    qahqaha bharti hai surahi kya

    zarf KHum se siwa hai chullu ka

    soti qismat ki nind uDawega

    narm takiya kisi ke zanu ka

    ishq-bazi hai jaan ki jokham

    wahin mara paDa jahan chuka

    'arzu' dil hai waqf-e-bim-o-umid

    jhilmilata charagh jugnu ka

    Source:

    Nishaan-e-Aarzu (Pg. ebook-22 page-14)

    • Author: Anwar Husain Arzoo
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now