dil mukaddar mudam ka nikla
dil mukaddar mudām kā niklā
kab ye ā.īna kaam kā niklā
bahs thī mai-kashī meñ zāhid se
uzr māh-e-siyām kā niklā
ye sunā hai ki ab vo harjā.ī
sub.h aatā hai shaam kā niklā
dil ke milne kī phir umiid nahīñ
ye agar us ke kaam kā niklā
vaah kyā kyā tirī mohabbat meñ
hausla ḳhās-o-ām kā niklā
sach to ye hai ki āshiqī meñ 'dāġh'
ek hī apne naam kā niklā
dil mukaddar mudam ka nikla
kab ye aaina kaam ka nikla
bahs thi mai-kashi mein zahid se
uzr mah-e-siyam ka nikla
ye suna hai ki ab wo harjai
subh aata hai sham ka nikla
dil ke milne ki phir umid nahin
ye agar us ke kaam ka nikla
wah kya kya teri mohabbat mein
hausla KHas-o-am ka nikla
sach to ye hai ki aashiqi mein 'dagh'
ek hi apne nam ka nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.