Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf

Inamullah Khan Yaqeen

dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    dil nahīñ khiñchtā hai bin majnūñ bayābāñ taraf

    ḳhush nahīñ aatā nazar karnā ġhazālāñ taraf

    fasl-e-gul ham asīroñ ko ḳhabar kab hai vale

    in dinoñ meñ shor kuchh hai gulistāñ taraf

    aag mujh ko lagī hai pyaas ye kyūñkar bujhe

    kyūñki dekhūñ sair us ḳhurshīd-e-tābāñ taraf

    is havā meñ rahm kar saaqī ki be-jām-e-sharāb

    dekh kar chhātī bharī aatī hai bārāñ taraf

    sehr ke Dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqīñ'

    dil khiñchā jaatā hai us zulf-e-pareshāñ taraf

    dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf

    KHush nahin aata nazar karna ghazalan ki taraf

    fasl-e-gul ki hum asiron ko KHabar kab hai wale

    in dinon mein shor sa kuchh hai gulistan ki taraf

    aag ki mujh ko lagi hai pyas ye kyunkar bujhe

    kyunki dekhun sair us KHurshid-e-taban ki taraf

    is hawa mein rahm kar saqi ki be-jam-e-sharab

    dekh kar chhati bhari aati hai baran ki taraf

    sehr ke Dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqin'

    dil khincha jata hai us zulf-e-pareshan ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now