dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah
dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah
Awais ul Hassan Khan
MORE BYAwais ul Hassan Khan
dil ne chāhā thā jise apne sahāre kī tarah
ġham usī shaḳhs kā bhaḌkā hai sharāre kī tarah
terā ehsān na bhūlūñgā ġham-e-yār ki tū
roz sajtā hai mirī aañkh meñ taare kī tarah
kitne ilhām ke rañgoñ se rañgā hai chehra
jis ko paḌhtā huuñ maiñ qur.ān ke paare kī tarah
sho.ala lapkā hai tire husn kā aise bhī kabhī
sher mere bhī hue shoḳh añgāre kī tarah
ik nishāñ ret pe dekhā thā musalsal bante
marte lamhoñ meñ kahīñ duur kināre kī tarah
gudgudātā hai tirī yaad kā mausam dil ko
khilkhilāte hue phūloñ ke nazāre kī tarah
vasl ke pal bhī bujhī raakh kī sūrat Thahre
sard-mehrī se kiye ek ishāre kī tarah
dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah
gham usi shaKHs ka bhaDka hai sharare ki tarah
tera ehsan na bhulunga gham-e-yar ki tu
roz sajta hai meri aankh mein tare ki tarah
kitne ilham ke rangon se ranga hai chehra
jis ko paDhta hun main quran ke pare ki tarah
shoala lapka hai tere husn ka aise bhi kabhi
sher mere bhi hue shoKH angare ki tarah
ek nishan ret pe dekha tha musalsal bante
marte lamhon mein kahin dur kinare ki tarah
gudgudata hai teri yaad ka mausam dil ko
khilkhilate hue phulon ke nazare ki tarah
wasl ke pal bhi bujhi rakh ki surat Thahre
sard-mehri se kiye ek ishaare ki tarah
- Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.