Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ne kaha tha kafi pahle ishq ka ek afsana likh

Danish Asari

dil ne kaha tha kafi pahle ishq ka ek afsana likh

Danish Asari

MORE BYDanish Asari

    dil ne kahā thā kaafī pahle ishq ik afsāna likh

    begānoñ ko apnā likh de apnoñ ko begāna likh

    pichhlī rutoñ meñ ḳhuun bārish āñkhoñ se jab barsī thī

    us manzar aks banā us aks pe dīvāna likh

    jaltī bujhtī sham.a sahar tak jaise taise chaltī hai

    jo lamhoñ meñ ḳhaak huā hai likh us ko parvāna likh

    dīvāne the ham donoñ apne meñ ḳhush rahte the

    biich meñ jis ne nafrat boī us ko farzāna likh

    sher meñ aksar bāteñ sattar sattar ma.anī rakhtī haiñ

    pardoñ ye jhanjhaT chhoḌ de jur.at kar rindāna likh

    in āñkhoñ ne kaise kaise manzar dekhe duniyā meñ

    duniyā-dārī karnī hai to āñkhoñ ko tah-ḳhāna likh

    'dānish' ne ḳhuub likhā hai lafzoñ se bhī khelā hai

    lekin jo bedār hue un zaḳhmoñ jurmāna likh

    dil ne kaha tha kafi pahle ishq ka ek afsana likh

    beganon ko apna likh de apnon ko begana likh

    pichhli ruton mein KHun ki barish aankhon se jab barsi thi

    us manzar ka aks bana us aks pe tu diwana likh

    jalti bujhti shama sahar tak jaise taise chalti hai

    jo lamhon mein KHak hua hai likh us ko parwana likh

    diwane the hum donon hi apne mein KHush rahte the

    bich mein jis ne nafrat boi tu us ko farzana likh

    sher mein aksar baaten sattar sattar mani rakhti hain

    pardon ka ye jhanjhaT chhoD de jurat kar rindana likh

    in aankhon ne kaise kaise manzar dekhe duniya mein

    duniya-dari karni hai to aankhon ko tah-KHana likh

    'danish' tu ne KHub likha hai lafzon se bhi khela hai

    lekin jo bedar hue un zaKHmon ka jurmana likh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now