Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-o-dida par kya ijara hamara

Meer Ali Ausat Rashk

dil-o-dida par kya ijara hamara

Meer Ali Ausat Rashk

MORE BYMeer Ali Ausat Rashk

    dil-o-dīda par kyā ijāra hamārā

    na sahrā hamārā na dariyā hamārā

    falak bhī jo chāhe to achchhe na hoñge

    hamārā adū hai masīhā hamārā

    garebān vahshat ne phāḌā to kyā ġham

    ḳhudā rakhne vaalā hai parda hamārā

    mohabbat nibhe but ki ho ḳhāna-e-dil

    hamārā tumhārā tumhārā hamārā

    ham ai 'rashk' miTte rahe aabrū par

    rahā naqsh-bar-āb naqsha hamārā

    dil-o-dida par kya ijara hamara

    na sahra hamara na dariya hamara

    falak bhi jo chahe to achchhe na honge

    hamara adu hai masiha hamara

    gareban wahshat ne phaDa to kya gham

    KHuda rakhne wala hai parda hamara

    mohabbat nibhe but ki ho KHana-e-dil

    hamara tumhaara tumhaara hamara

    hum ai 'rashk' miTte rahe aabru par

    raha naqsh-bar-ab naqsha hamara

    Source:

    Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 60)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: 2017
      • Publisher: Rekhta Books
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now