Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil o dimagh mein ehsas-e-gham ubhaar diya

Shahzad Ahmad

dil o dimagh mein ehsas-e-gham ubhaar diya

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    dil o dimāġh meñ ehsās-e-ġham ubhār diyā

    ye kis ne aaj mujhe muzhda-e-bahār diyā

    tire jilau meñ baḌhī hai chaman shādābī

    guloñ rañg tire husn ne nikhār diyā

    zarā laboñ ke tabassum se bazm garmā.eñ

    hameñ to aap āñkhoñ chup ne maar diyā

    vo baar baar mujhe mehrbāñ nazar aa.e

    mujhe fareb nigāhoñ ne baar baar diyā

    tumhī kaho tumheñ kis nigāh le Duubī

    mujhe to ḳhair mirī sādgī ne maar diyā

    ajiib baat hai dil Duub Duub jaatā hai

    ajiib raat hai bujhtā hai baar baar diyā

    hameñ vo sāhib-e-ālām dahr meñ 'shahzād'

    zarā hañse to zamāne ġham nikhār diyā

    dil o dimagh mein ehsas-e-gham ubhaar diya

    ye kis ne aaj mujhe muzhda-e-bahaar diya

    tere jilau mein baDhi hai chaman ki shadabi

    gulon ka rang tere husn ne nikhaar diya

    zara labon ke tabassum se bazm garmaen

    hamein to aap ki aankhon ki chup ne mar diya

    wo bar bar mujhe mehrban nazar aae

    mujhe fareb nigahon ne bar bar diya

    tumhi kaho tumhein kis ki nigah le Dubi

    mujhe to KHair meri sadgi ne mar diya

    ajib baat hai dil Dub Dub jata hai

    ajib raat hai bujhta hai bar bar diya

    hamein wo sahib-e-alam dahr mein 'shahzad'

    zara hanse to zamane ka gham nikhaar diya

    Source :
    • Book : Deewar pe dastak (Pg. 195)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now