dil-o-nazar ke liye bais-e-qarar jo tha
dil-o-nazar ke liye bā.is-e-qarār jo thā
'azāb-e-jāñ hai vahī jān-e-e'tibār jo thā
kisī se ho na sakī zaḳhm-e-dil kī baḳhiya-garī
har ek chārāgar-e-dard ḳhām-kār jo thā
fanā ke baa'd bhī baaqī rahā vujūd mirā
mire ḳhulūs meñ rang-e-sadābahār jo thā
qabā-darīda the ġhunche lahūluhān the gul
chaman meñ ab ke baras mausam-e-bahār jo thā
havā-e-vaqt uḌā le ga.ī kahāñ us ko
vo naḳhvatoñ kā falak-bos kohsār jo thā
tabassumoñ kī naqāboñ meñ kaise chhup jaatā
diloñ kā dard jabīnoñ se āshkār jo thā
sukūn miltā kahāñ se dil-e-tabāh tujhe
hamārā dushman-e-jāñ apnā ġham-gusār jo thā
zamāna gard-e-rifāqat bhī us kī pā na sakā
libās-e-faqr meñ vo ek tājdār jo thā
sar-e-'azīz' jhukā bhī to sarfarāz huā
ki tere 'ishq kī 'azmat kā pāsdār jo thā
dil-o-nazar ke liye bais-e-qarar jo tha
'azab-e-jaan hai wahi jaan-e-e'tibar jo tha
kisi se ho na saki zaKHm-e-dil ki baKHiya-gari
har ek chaaragar-e-dard KHam-kar jo tha
fana ke ba'd bhi baqi raha wujud mera
mere KHulus mein rang-e-sadabahaar jo tha
qaba-darida the ghunche lahuluhan the gul
chaman mein ab ke baras mausam-e-bahaar jo tha
hawa-e-waqt uDa le gai kahan us ko
wo naKHwaton ka falak-bos kohsar jo tha
tabassumon ki naqabon mein kaise chhup jata
dilon ka dard jabinon se aashkar jo tha
sukun milta kahan se dil-e-tabah tujhe
hamara dushman-e-jaan apna gham-gusar jo tha
zamana gard-e-rifaqat bhi us ki pa na saka
libas-e-faqr mein wo ek tajdar jo tha
sar-e-'aziz' jhuka bhi to sarfaraaz hua
ki tere 'ishq ki 'azmat ka pasdar jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.