Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam

Shaziya Akbar

dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam

Shaziya Akbar

MORE BYShaziya Akbar

    dil-o-nigāh ke husn-o-qarār mausam

    vo terī yaad tire intizār mausam

    jhukī hai aañkh ka.ī rat-jage sameTe hue

    chhupā hai lams meñ kaisā ḳhumār mausam

    hamāre pyaar ne umr-e-davām māñgī hai

    hameñ qubūl nahīñ thā udhār mausam

    firāq lamhoñ ko ham ne hasīñ banāyā hai

    sajā ke dil meñ tire e.atibār mausam

    milī nigāh to ik pal meñ ham pe guzrā hai

    karoḌ qurbatoñ lākhoñ qarār mausam

    hamāre pyaar ye bhī adā nirālī hai

    ḳhizāñ rut meñ manāyā bahār mausam

    dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam

    wo teri yaad tere intizar ka mausam

    jhuki hai aankh kai rat-jage sameTe hue

    chhupa hai lams mein kaisa KHumar ka mausam

    hamare pyar ne umr-e-dawam mangi hai

    hamein qubul nahin tha udhaar ka mausam

    firaq lamhon ko hum ne hasin banaya hai

    saja ke dil mein tere eatibar ka mausam

    mili nigah to ek pal mein hum pe guzra hai

    karoD qurbaton lakhon qarar ka mausam

    hamare pyar ki ye bhi ada nirali hai

    KHizan ki rut mein manaya bahaar ka mausam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now