Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-o-nigah mein jaise Thahar gaya mausam

Latif Shah Shahid

dil-o-nigah mein jaise Thahar gaya mausam

Latif Shah Shahid

MORE BYLatif Shah Shahid

    dil-o-nigāh meñ jaise Thahar gayā mausam

    tumhāre baad na badlā ye dard mausam

    guzar chuke haiñ nazar se hazār-hā mausam

    kisī ke va.ada-e-shab na aa sakā mausam

    bichhaḌ ga.e ho agar tum to mar na jā.ūñgā

    bichhaḌ ke aap se marne thā judā mausam

    ḳhizāñ rut bhī bahāroñ ke saath chaltī hai

    kahāñ vo baaġh ki jis meñ ho ek mausam

    kahāñ ye vasl be-kaif be-mazā ghaḌiyāñ

    kahāñ vo terī judā.ī ḳhushnumā mausam

    dil-o-nigah mein jaise Thahar gaya mausam

    tumhaare baad na badla ye dard ka mausam

    guzar chuke hain nazar se hazar-ha mausam

    kisi ke wada-e-shab ka na aa saka mausam

    bichhaD gae ho agar tum to mar na jaunga

    bichhaD ke aap se marne ka tha juda mausam

    KHizan ki rut bhi bahaaron ke sath chalti hai

    kahan wo bagh ki jis mein ho ek sa mausam

    kahan ye wasl ki be-kaif be-maza ghaDiyan

    kahan wo teri judai ka KHushnuma mausam

    Source:

    پیاس نگر میں پہلی بارش (Pg. 17)

    • Author: لطیف شاہ شاہد
      • Publisher: انجمن ادبیات سرحد(رجسٹرڈ) اکوڑہ خٹک
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now