Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak

Hosh Nomani Rampuri

dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak

Hosh Nomani Rampuri

MORE BYHosh Nomani Rampuri

    dil par nahīñ ham chhā.e haiñ zehnoñ ke jahāñ tak

    tum ne abhī paa.e nahīñ manzil ke nishāñ tak

    phir bahs hai tafsīl se har chā.e-kade meñ

    zardār ke aivān se muflis ke jahāñ tak

    ye vaqt se pahle sadā rañg na laa.e

    suunā na pahuñch jaa.e kahīñ rūd-e-garāñ tak

    bikhrī huī tārīḳh phir jild bañdhegī

    mazlūm fariyād se zālim ke bayāñ tak

    ahbāb se ai hosh ayādat gilā kyā

    tahsīl pe tum aa.e na saa.ib dukāñ tak

    dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak

    tum ne abhi pae nahin manzil ke nishan tak

    phir bahs hai tafsil se har chae-kade mein

    zardar ke aiwan se muflis ke jahan tak

    ye waqt se pahle ki sada rang na lae

    suna na pahunch jae kahin rud-e-garan tak

    bikhri hui tariKH ki phir jild bandhegi

    mazlum ki fariyaad se zalim ke bayan tak

    ahbab se ai hosh ayaadat ka gila kya

    tahsil pe tum aae na saib ki dukan tak

    Source:

    Itmam (Pg. 60)

    • Author: Hosh Nomani Rampuri
      • Publisher: Hosh Nomani Rampuri
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now