Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil parastar hain sab KHalq ke murat ki teri

Meerza Jawan Bakht Jahandar

dil parastar hain sab KHalq ke murat ki teri

Meerza Jawan Bakht Jahandar

MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar

    dil parastār haiñ sab ḳhalq ke mūrat tirī

    diida haiñ qibla-numā ka.aba-e-sūrat tirī

    ġhair ke vāste pakḌe hai har dam sau baar

    mutahammil nahīñ ham aise kudūrat tirī

    bul-havas jaan nahīñ khone ke ḳhātir se tirī

    ham haiñ sar dene ko haiñ vaqt-e-zarūrat tirī

    mus.haf-e-husn hai lo mukhḌā tirā hai vashshams

    yaad rahtī hai mujhe nit usī sūrat tirī

    na.iiñ parastish se 'jahāñdār' ḳhush varna

    dil parastār haiñ sab ḳhalq ke mūrat tirī

    dil parastar hain sab KHalq ke murat ki teri

    dida hain qibla-numa kaba-e-surat ki teri

    ghair ke waste pakDe hai tu har dam sau bar

    mutahammil nahin hum aise kudurat ki teri

    bul-hawas jaan nahin khone ke KHatir se teri

    hum hain sar dene ko hain waqt-e-zarurat ki teri

    mushaf-e-husn hai lo mukhDa tera hai washshams

    yaad rahti hai mujhe nit usi surat ki teri

    nain parastish se 'jahandar' ki tu KHush warna

    dil parastar hain sab KHalq ke murat ki teri

    Source:

    Deewan-e-Jahandaar (Pg. ebook-138 page-131)

    • Author: Meerza Jawan Bakht Jahandar
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now