dil pe chhaya raha umas ki tarah
dil pe chhāyā rahā umas kī tarah
ek lamha thā sau baras kī tarah
vo mohabbat kī tarah pighlegī
maiñ bhī mar jā.ūñgā havas kī tarah
raat sar par liye huuñ jangal meñ
rāste kī ḳharāb bus kī tarah
aatmā be-zabān mainā hai
aur maaTī kā tan qafas kī tarah
ḳhānqāhoñ meñ ḳhaak uḌtī hai
urdu vāloñ ke campus kī tarah
maut kī vādiyoñ se guzrūñgā
maiñ pahāḌoñ kī ek bus kī tarah
dil pe chhaya raha umas ki tarah
ek lamha tha sau baras ki tarah
wo mohabbat ki tarah pighlegi
main bhi mar jaunga hawas ki tarah
raat sar par liye hun jangal mein
raste ki KHarab bus ki tarah
aatma be-zaban maina hai
aur maTi ka tan qafas ki tarah
KHanqahon mein KHak uDti hai
urdu walon ke campus ki tarah
maut ki wadiyon se guzrunga
main pahaDon ki ek bus ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.