dil pe wo karb ke sae hain ki ji jaanta hai
dil pe vo karb ke saa.e haiñ ki jī jāntā hai
haa.e kyā log gañvā.e haiñ ki jī jāntā hai
zindagī tū ne bhī rasmī sī ḳhushī kī ḳhātir
ham se vo raqs karā.e haiñ ki jī jāntā hai
dekh kar merī nigāhoñ meñ talab kī shiddat
us ne yuuñ daam baḌhā.e haiñ ki jī jāntā hai
us kī qurbat kī tamanna meñ ḳhud apne ham ne
mol kyā kyā na ghaTā.e haiñ ki jī jāntā hai
uTh ke aanā tirī mahfil se qayāmat Thahrā
dil ne vo hashr uThā.e haiñ ki jī jāntā hai
ham ki nīñdoñ se ga.e jāgtī āñkhoñ us ne
ḳhvāb kuchh aise dikhā.e haiñ ki jī jāntā hai
kūcha-e-'ishq meñ ham bhuul ke aa nikle the
dard par aise kamā.e haiñ ki jī jāntā hai
us kī ik pal kī tavajjoh kī talab meñ ham ne
ruup kyā kyā na sajā.e haiñ ki jī jāntā hai
haa.e mā'sūm se jazbāt-e-mohabbat daa.im
yuuñ zamāne ne dabā.e haiñ ki jī jāntā hai
chāk-dāmān haiñ yūsuf ki zuleḳhāoñ ne
haath kuchh aise baḌhā.e haiñ ki jī jāntā hai
vaqt ne lazzat-e-imroz ke dhoke meñ hameñ
jaam vo talḳh pilā.e haiñ ki jī jāntā hai
mo'tabar ham se ka.ī aur bhī 'arshī' us ne
yuuñ nigāhoñ se girā.e haiñ ki jī jāntā hai
dil pe wo karb ke sae hain ki ji jaanta hai
hae kya log ganwae hain ki ji jaanta hai
zindagi tu ne bhi rasmi si KHushi ki KHatir
hum se wo raqs karae hain ki ji jaanta hai
dekh kar meri nigahon mein talab ki shiddat
us ne yun dam baDhae hain ki ji jaanta hai
us ki qurbat ki tamanna mein KHud apne hum ne
mol kya kya na ghaTae hain ki ji jaanta hai
uTh ke aana teri mahfil se qayamat Thahra
dil ne wo hashr uThae hain ki ji jaanta hai
hum ki nindon se gae jagti aankhon us ne
KHwab kuchh aise dikhae hain ki ji jaanta hai
kucha-e-'ishq mein hum bhul ke aa nikle the
dard par aise kamae hain ki ji jaanta hai
us ki ek pal ki tawajjoh ki talab mein hum ne
rup kya kya na sajae hain ki ji jaanta hai
hae ma'sum se jazbaat-e-mohabbat daim
yun zamane ne dabae hain ki ji jaanta hai
chaak-daman hain yusuf ki zuleKHaon ne
hath kuchh aise baDhae hain ki ji jaanta hai
waqt ne lazzat-e-imroz ke dhoke mein hamein
jam wo talKH pilae hain ki ji jaanta hai
mo'tabar hum se kai aur bhi 'arshi' us ne
yun nigahon se girae hain ki ji jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.