Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil pe yaadon ka bojh tari hai

Atyab Ejaz

dil pe yaadon ka bojh tari hai

Atyab Ejaz

MORE BYAtyab Ejaz

    dil pe yādoñ bojh taarī hai

    aaj raat kitnī bhārī hai

    qaid tarah kāTte haiñ sab

    kis ne ye zindagī guzārī hai

    sar chhupā kar tire dupaTTe meñ

    ḳhushbuoñ ne thakan utārī hai

    aisī bhīnī mahak hai bātoñ meñ

    jaise taaza guloñ kyārī hai

    dil-lagī lamha-bhar hai lekin

    zindagī-bhar be-qarārī hai

    zulf-o-ruḳhsār ziyā le kar

    ham ne apnī ġhazal sañvārī hai

    chaah par kis zor hai ai 'atīb'

    chaah to ġhair iḳhtiyārī hai

    dil pe yaadon ka bojh tari hai

    aaj ki raat kitni bhaari hai

    qaid ki tarah kaTte hain sab

    kis ne ye zindagi guzari hai

    sar chhupa kar tere dupaTTe mein

    KHushbuon ne thakan utari hai

    aisi bhini mahak hai baaton mein

    jaise taza gulon ki kyari hai

    dil-lagi lamha-bhar ki hai lekin

    zindagi-bhar ki be-qarari hai

    zulf-o-ruKHsar ki ziya le kar

    hum ne apni ghazal sanwari hai

    chah par kis ka zor hai ai 'atib'

    chah to ghair iKHtiyari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now