Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf

Shaz Malik

dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf

Shaz Malik

MORE BYShaz Malik

    dil ravāñ jis ho ik murshid-e-kāmil taraf

    kaun rokegā use jaane se manzil taraf

    chaah kar bhī na agar ġham mudāvā ho to phir

    maiñ chalī jaatī huuñ īmān-e-mufassal taraf

    ye mirī maañ duā samar hai jo mujhe

    tund lahroñ ne uchhālā bhī to sāhil taraf

    chāhtā kaun hai rāhoñ meñ bhaTak jaanā magar

    rāsta shar le jaatā hai jāhil taraf

    zang jab ruuh ke ausāf ko lagtā hai to phir

    dhaḌkaneñ dauḌ ke jaatī haiñ navāfil taraf

    dil mujhe kahtā hai dhak dhak zabāñ meñ ye

    jang kar nafs se dekh na bātil taraf

    'shāz' ho jā.egā tai ziist be-nām safar

    dekh mat tishna nigāhoñ se mahmil taraf

    dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf

    kaun rokega use jaane se manzil ki taraf

    chah kar bhi na agar gham ka mudawa ho to phir

    main chali jati hun iman-e-mufassal ki taraf

    ye meri man ki dua ka hi samar hai jo mujhe

    tund lahron ne uchhaala bhi to sahil ki taraf

    chahta kaun hai rahon mein bhaTak jaana magar

    rasta shar ka hi le jata hai jahil ki taraf

    zang jab ruh ke ausaf ko lagta hai to phir

    dhaDkanen dauD ke jati hain nawafil ki taraf

    dil mujhe kahta hai dhak dhak ki zaban mein ye hi

    jang kar nafs se tu dekh na baatil ki taraf

    'shaz' ho jaega tai zist ka be-nam safar

    dekh mat tishna nigahon se tu mahmil ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now