dil satata hai mujhko rozana
dil satātā hai mujh ko rozāna
dil ko us kī kamī satātī hai
raas aa.ī hai jab se tanhā.ī
logoñ kī dostī satātī hai
os se tishnagī na bujh paa.ī
haa.e ye tishnagī satātī hai
kānoñ meñ gūñjtī haiñ āvāzeñ
mujh ko us kī hañsī satātī hai
maut ke intizār meñ huuñ maiñ
mujh ko ye zindagī satātī hai
dil satata hai mujh ko rozana
dil ko us ki kami satati hai
ras aai hai jab se tanhai
logon ki dosti satati hai
os se tishnagi na bujh pai
hae ye tishnagi satati hai
kanon mein gunjti hain aawazen
mujh ko us ki hansi satati hai
maut ke intizar mein hun main
mujh ko ye zindagi satati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.