Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya

Mohammad Habeeb Habeeb

dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya

Mohammad Habeeb Habeeb

MORE BYMohammad Habeeb Habeeb

    dil se dil na mile jab to bane baat kyā

    ik nayā rang na ubhre to mulāqāt kyā

    zindagī zinda ho raḳhshanda-o-pā.inda bhī ho

    chand sāñsoñ se milī jaan sauġhāt kyā

    apne aslāf ke ehsān bhulā kar un ko

    ba.ad-az-marg diye bhī to ḳhitābāt kyā

    kam se kam dījiye ik baar to mauqa ham ko

    phuul sahrā meñ na khil jaa.eñ to phir baat kyā

    ḳhūn-e-dil de ke kiyā un ke chaman ko shādāb

    phir bhī kahte haiñ hameñ aap auqāt kyā

    hirs aag meñ dul.han ko jalā dete haiñ

    aise jallādoñ auqāt kyā zaat kyā

    uf ye barsāt ki bah jaa.eñ ġharīboñ ke makāñ

    ḳhuun rulvā.e jo barsāt vo barsāt kyā

    qalb par naqsh na ban kar jo ubhar aa.eñ 'habīb'

    aise ash.ār kyā aise ḳhayālāt kyā

    dil se dil hi na mile jab to bane baat hi kya

    ek naya rang na ubhre to mulaqat hi kya

    zindagi zinda ho raKHshanda-o-painda bhi ho

    chand sanson se mili jaan ki saughat hi kya

    apne aslaf ke ehsan bhula kar un ko

    baad-az-marg diye bhi to KHitabaat hi kya

    kam se kam dijiye ek bar to mauqa hum ko

    phul sahra mein na khil jaen to phir baat hi kya

    KHun-e-dil de ke kiya un ke chaman ko shadab

    phir bhi kahte hain hamein aap ki auqat hi kya

    hirs ki aag mein dulhan ko jala dete hain

    aise jalladon ki auqat hi kya zat hi kya

    uf ye barsat ki bah jaen gharibon ke makan

    KHun rulwae jo barsat wo barsat hi kya

    qalb par naqsh na ban kar jo ubhar aaen 'habib'

    aise ashaar hi kya aise KHayalat hi kya

    Source:

    (Pg. 43)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now