Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se ek aag ki diwar ubharti jae

Chandra Parkash Shad

dil se ek aag ki diwar ubharti jae

Chandra Parkash Shad

MORE BYChandra Parkash Shad

    dil se ik aag dīvār ubhartī jaa.e

    ziina ziina shab-e-tanhā.ī utartī jaa.e

    tum se milne jo barsoñ meñ kabhī aa.e ḳhayāl

    har taraf fāsloñ ret bikhartī jaa.e

    vaqt chaal ko ham ro ke raheñ kamre meñ

    aur idhar raat andhā dhuñd guzartī jaa.e

    taptā sahrā hai har ik shahr aur ummīd-e-sukūñ

    ek badlī hai jo uupar se guzartī jaa.e

    maiñ to auqāt ke phailāo meñ baḌhtā jā.ūñ

    aur jo ik shai mire andar hai vo martī jaa.e

    jaane kyā bhuut chhupe baiThe haiñ is āñgan meñ

    raat jaa.e to vahāñ kāñptī Dartī jaa.e

    vo nazar phuul khilātī chale pahlū pahlū

    ban ke kāñTā diloñ meñ bhī utartī jaa.e

    dil se ek aag ki diwar ubharti jae

    zina zina shab-e-tanhai utarti jae

    tum se milne ka jo barson mein kabhi aae KHayal

    har taraf faslon ki ret bikharti jae

    waqt ki chaal ko hum ro ke rahen kamre mein

    aur idhar raat andha dhund guzarti jae

    tapta sahra hai har ek shahr aur ummid-e-sukun

    ek badli hai jo upar se guzarti jae

    main to auqat ke phailao mein baDhta jaun

    aur jo ek shai mere andar hai wo marti jae

    jaane kya bhut chhupe baiThe hain is aangan mein

    raat jae to wahan kanpti Darti jae

    wo nazar phul khilati chale pahlu pahlu

    ban ke kanTa sa dilon mein bhi utarti jae

    Source:

    1970 Ki Muntakhab Shairi (Pg. 88)

      • Publisher: P. K. Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now