Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se ek yaad bhula di gai hai

Nadeem Bhabha

dil se ek yaad bhula di gai hai

Nadeem Bhabha

MORE BYNadeem Bhabha

    dil se ik yaad bhulā ga.ī hai

    kisī ġhaflat sazā ga.ī hai

    maiñ ne manzil duā māñgī thī

    merī raftār baḌhā ga.ī hai

    aib dīvār ke hoñge zāhir

    merī tasvīr haTā ga.ī hai

    maiñ ne ik dil pe hukūmat kyā

    mujhe talvār thamā ga.ī hai

    ab mohabbat sabab hai vahshat

    varna hasrat to miTā ga.ī hai

    ab yahāñ se nahīñ saktā koī

    ab yahāñ sham.a jalā ga.ī hai

    mujh meñ ab phuul nahīñ nahīñ khil sakte

    merī ab ḳhaak uḌā ga.ī hai

    is liye jam ke yahāñ baiThā huuñ

    mujh ko merī jagah ga.ī hai

    dil se ek yaad bhula di gai hai

    kisi ghaflat ki saza di gai hai

    main ne manzil ki dua mangi thi

    meri raftar baDha di gai hai

    aib diwar ke honge zahir

    meri taswir haTa di gai hai

    main ne ek dil pe hukumat kya ki

    mujhe talwar thama di gai hai

    ab mohabbat ka sabab hai wahshat

    warna hasrat to miTa di gai hai

    ab yahan se nahin ja sakta koi

    ab yahan shama jala di gai hai

    mujh mein ab phul nahin nahin khil sakte

    meri ab KHak uDa di gai hai

    is liye jam ke yahan baiTha hun

    mujh ko meri hi jagah di gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now