dil se wabasta zaminon ki sada behtar thi
dil se vābasta zamīnoñ kī sadā behtar thī
ḳhaak uḌtī thī jahāñ tak vo fazā behtar thī
rū-barū aa.ina aur kitne hī chehroñ kā malāl
ab ḳhayāl aayā ki vo jān-e-hayā behtar thī
apnī nazroñ meñ subuk-sār huī hai mirī zaat
aisī āzādī se zanjīr-e-anā behtar thī
ai matā’-e-dil-o-jāñ kaisī rahī merī ġhazal
muskurāyā vo but-e-shoḳh kahā behtar thī
dil se wabasta zaminon ki sada behtar thi
KHak uDti thi jahan tak wo faza behtar thi
ru-baru aaina aur kitne hi chehron ka malal
ab KHayal aaya ki wo jaan-e-haya behtar thi
apni nazron mein subuk-sar hui hai meri zat
aisi aazadi se zanjir-e-ana behtar thi
ai mata’-e-dil-o-jaan kaisi rahi meri ghazal
muskuraya wo but-e-shoKH kaha behtar thi
- Book : Ishq (Pg. 85)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.