Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai

Rinki Singh Sahiba

dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai

Rinki Singh Sahiba

MORE BYRinki Singh Sahiba

    dil shagufta hai ke phir koī ḳhatā hone ko hai

    jaise agle qadam par hādisa hone ko hai

    jaane kyā kyā ho gayā hai ho rahā hai jaane kyā

    aane vaale vaqt meñ ab jaane kyā hone ko hai

    vo gayā to lauT kar sāñseñ na aa.iiñ jism meñ

    yuuñ lagā ki zindagī se fāsla hone ko hai

    Daal kashtī bhañvar meñ bas isī ummīd par

    ek tinke mujhe bhī aasrā hone ko hai

    jhuk gayā hai āsmāñ uḌne lagī hai ye zamīñ

    lag rahā sāvan meñ ab ke kuchh nayā hone ko hai

    jis ne mere paañv ko zaḳhmī kiyā thā ek din

    rāste ab vo patthar devtā hone ko hai

    phir suhānī vādiyoñ se ishq ne hai sadā

    lag rahā hai ratjagoñ silsila hone ko hai

    zindagī uljhaneñ kāġhaz pe likkhī thiiñ kabhī

    aa rahī hai ye ḳhabar vo falsafa hone ko hai

    mil gayā vo ik guhar jo apne man siip meñ

    aisā lagtā hai ki ḳhud se rābta hone ko hai

    chhū liyā ākāsh ne jhuk kar zamīñ ke jism ko

    muḳhtasar ek pal ahd-e-vafā hone ko hai

    ham to aisī fikr se ab ho chuke haiñ be-niyāz

    hone do jo 'sāhiba' achchhā burā hone ko hai

    dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai

    jaise agle hi qadam par hadisa hone ko hai

    jaane kya kya ho gaya hai ho raha hai jaane kya

    aane wale waqt mein ab jaane kya hone ko hai

    wo gaya to lauT kar sansen na aain jism mein

    yun laga ki zindagi se fasla hone ko hai

    Dal di kashti bhanwar mein bas isi ummid par

    ek tinke ka mujhe bhi aasra hone ko hai

    jhuk gaya hai aasman uDne lagi hai ye zamin

    lag raha sawan mein ab ke kuchh naya hone ko hai

    jis ne mere panw ko zaKHmi kiya tha ek din

    raste ka ab wo patthar dewta hone ko hai

    phir suhani wadiyon se ishq ne di hai sada

    lag raha hai ratjagon ka silsila hone ko hai

    zindagi ki uljhanen kaghaz pe likkhi thin kabhi

    aa rahi hai ye KHabar wo falsafa hone ko hai

    mil gaya wo ek guhar jo apne man ki sip mein

    aisa lagta hai ki KHud se rabta hone ko hai

    chhu liya aakash ne jhuk kar zamin ke jism ko

    muKHtasar sa ek pal ahd-e-wafa hone ko hai

    hum to aisi fikr se ab ho chuke hain be-niyaz

    hone do jo 'sahiba' achchha bura hone ko hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now