Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich

Ibn e Insha

dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    dil chiiz ke gāhak hoñge do ek hazār ke biich

    'inshā' kyā maal liye baiThe ho tum bāzār ke biich

    pīnā-pilānā ain gunah hai lagānā ain havas

    aap bāteñ sab sachchī haiñ lekin bharī bahār ke biich

    ai saḳhiyo ai ḳhush-nazro yak guuna karam ḳhairāt karo

    na.ara-zanāñ kuchh log phireñ haiñ sub.h se shahr-e-nigār ke biich

    ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk to jāneñ ek tujhī ko ḳhabar na mile

    ai gul-e-ḳhūbī ham to abas badnām hue gulzār ke biich

    minnat-e-qāsid kaun uThā.e shikva-e-darbāñ kaun kare

    nāma-e-shauq ġhazal sūrat chhapne ko do aḳhbār ke biich

    dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich

    'insha' ji kya mal liye baiThe ho tum bazar ke bich

    pina-pilana ain gunah hai ji ka lagana ain hawas

    aap ki baaten sab sachchi hain lekin bhari bahaar ke bich

    ai saKHiyo ai KHush-nazro yak guna karam KHairaat karo

    nara-zanan kuchh log phiren hain subh se shahr-e-nigar ke bich

    KHar-o-KHas-o-KHashak to jaanen ek tujhi ko KHabar na mile

    ai gul-e-KHubi hum to abas badnam hue gulzar ke bich

    minnat-e-qasid kaun uThae shikwa-e-darban kaun kare

    nama-e-shauq ghazal ki surat chhapne ko do aKHbar ke bich

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 229)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now