Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil taDapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai

Asim Jafri

dil taDapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai

Asim Jafri

MORE BYAsim Jafri

    dil taḌaptā hai ab tak mirā aañkh meñ bhī namī rah ga.ī

    vo to kab ke ga.e chhoḌ kar yaad un basī rah ga.ī

    rahmatoñ se bahut duur hai jis ko dekho vo maġhrūr hai

    ab kahāñ inkisārī rahī aur kahāñ ājizī rah ga.ī

    merī un haiñ rāheñ judā vo kahāñ aur maiñ ab kahāñ

    un ko paane phir bhī magar aas dil ko lagī rah ga.ī

    dil dhaḌaktā hai un ke liye aañkh rotī hai un ke liye

    ab kahāñ apnī ye zindagī dosto apnī rah ga.ī

    koī 'āsim' kisī nahīñ sab ke sab haiñ yahāñ matlabī

    aaj zinda jahāñ meñ kahāñ ġhairat-e-ādmī rah ga.ī

    dil taDapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai

    wo to kab ke gae chhoD kar yaad un ki basi rah gai

    rahmaton se bahut dur hai jis ko dekho wo maghrur hai

    ab kahan inkisari rahi aur kahan aajizi rah gai

    meri un ki hain rahen juda wo kahan aur main ab kahan

    un ko pane ki phir bhi magar aas dil ko lagi rah gai

    dil dhaDakta hai un ke liye aankh roti hai un ke liye

    ab kahan apni ye zindagi dosto apni hi rah gai

    koi 'asim' kisi ka nahin sab ke sab hain yahan matlabi

    aaj zinda jahan mein kahan ghairat-e-admi rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now