dil teri yaad mein har lamha taDapta bhi nahin

Syed Ehtisham Husain

dil teri yaad mein har lamha taDapta bhi nahin

Syed Ehtisham Husain

MORE BYSyed Ehtisham Husain

  dil tirī yaad meñ har lamha taḌaptā bhī nahīñ

  band ho jaa.e taḌapnā ye gavārā bhī nahīñ

  vo nahīñ paas to ehsās-e-rifāqat hai sivā

  ġham-e-tanhā.ī ke zindāñ meñ maiñ tanhā bhī nahīñ

  dasht dīvānoñ se ābād hue jaate haiñ

  ab to jāgīr kisī qais sahrā bhī nahīñ

  sañg-e-dushnām baraste rahe har jānib se

  saḳht-jāñ dil kuchh aisā thā ki TuuTā bhī nahīñ

  kar to luuñ tark-e-tamannā irāda lekin

  qahr ye hai vo fusūñ-gar sitam-ārā bhī nahīñ

  rañg kyuuñ uḌ gayā gulshan ke havā-dāroñ

  garm jhoñkā koī is raah se guzrā bhī nahīñ

  sard hai marg-sifat misr-e-junūñ bāzār

  ḳhvāb-e-yūsuf bhī nahīñ ḳhvāb-e-zuleḳhā bhī nahīñ

  dil teri yaad mein har lamha taDapta bhi nahin

  band ho jae taDapna ye gawara bhi nahin

  wo nahin pas to ehsas-e-rifaqat hai siwa

  gham-e-tanhai ke zindan mein main tanha bhi nahin

  dasht diwanon se aabaad hue jate hain

  ab to jagir kisi qais ki sahra bhi nahin

  sang-e-dushnam baraste rahe har jaanib se

  saKHt-jaan dil hi kuchh aisa tha ki TuTa bhi nahin

  kar to lun tark-e-tamanna ka irada lekin

  qahr ye hai wo fusun-gar sitam-ara bhi nahin

  rang kyun uD gaya gulshan ke hawa-daron ka

  garm jhonka koi is rah se guzra bhi nahin

  sard hai marg-sifat misr-e-junun ka bazar

  KHwab-e-yusuf bhi nahin KHwab-e-zuleKHa bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY